تازہ غزل
عمار اقبال
نذرِ ثروت
جو کم سے بھی کمتر ہے اُسے دیکھ مجھے دیکھ
تو جس کو میسر ہے اُسے دیکھ مجھے دیکھ
یہ شخص کسی اور زمانے میں بھی ہوگا
آیئنہ برابر ہے اُسے دیکھ مجھے دیکھ
میں لخت جگر دست پدر کا ہوں نوالہ
جس ہاتھ میں خنجر ہے اُسے دیکھ مجھے دیکھ
یوں سیپ کے سینے میں کھنکتا ہوا مصرع
موتی ہے کہ کنکر ہے اُسے دیکھ مجھے دیکھ
پتھر کے زمانے سے یہی کانچ کا دل ہے
صحرا میں کبوتر ہے اُسے دیکھ مجھے دیکھ
عمار اقبال
taaza ghazal
– Ammar Iqbal
nazr-e-Sarwat
jo kam se bhi kamtar hai, use dekh mujhe dekh
tu jis ko mayassar hai, use dekh mujhe dekh
ye shakhs kisi aur zamaane mein bhi hoga
aa’ina barabar hai, use dekh mujhe dekh
main lakht-e-jigar, dast-e-pidar ka hoon niwala
jis haath mein khanjar hai, use dekh mujhe dekh
yun seep ke seene mein khanakta hua misra
moti hai ya kankar hai, use dekh mujhe dekh
patthar ke zamaane se yahi kaanch ka dil hai
sehra mein kabootar hai, use dekh mujhe dekh
– Ammar Iqbal
#AmmarIqbal #UrduPoetry #TazaGhazal #NayiGhazal #UrduLiterature #Shayari #Ghazal #RomanticPoetry #EmotionalPoetry #PoetryOfTheDay #HeartfeltVerses #NazrESarwat #SadPoetry #ModernUrduPoetry #Adab #UrduWriters #PakistaniPoets #SoulfulLines #MohabbatKiShayari #DeepThoughts #FeelingsInWords #UrduZaban #PoeticSoul #FacebookPoetry #LiteraryVibes
Tags:
ghazal