Kia Iran aur Israel Ceasefire Ko Jari Rakh Payain Gy?

Kia Iran aur Israel Ceasefire Ko Jari Rakh Payain Gy?
Kia Iran aur Israel Ceasefire Ko Jari Rakh Payain Gy? 

Kia Iran aur Israel Ceasefire Ko Jari Rakh Payain Gy? 


Aaj kal sab se bara sawal yahi hai: “Kia Iran aur Israel ceasefire ko jari rakh payain gy?” Halat abhi bhi bohat naazuk hain, kyun ke dono taraf se ceasefire ki violations ki khabrain aa rahi hain.

Iran ke foreign minister ne kaha hai ke agar Israel apni airstrikes rok de toh Iran bhi apne hamlay band kar dega, lekin abhi tak dono mulkon ne officially ceasefire agreement ko confirm nahi kiya.

Israel ne Iran par ceasefire torhne ka ilzam lagaya hai, jabke Iran ne in ilzamat ko ghalat qarar diya hai. Kuch ghanto ke liye ceasefire ne kaam kiya, magar missile attacks aur fresh tensions ne isay fragile bana diya hai.

Market experts kehte hain ke agar ceasefire jari rehta hai toh Middle East mein aman ka naya daur shuru ho sakta hai, lekin history dekhi jaye toh aise agreements aksar jaldi tut jate hain. Dono taraf se abhi bhi trust ki kami hai, is liye risk abhi bhi barqarar hai. 

Aap ke khayal mein, kya yeh ceasefire lamba chalega ya phir phir se jang shuru ho sakti hai?
SK Shahzaib Khalid

Welcome to BlogBySK.com - Where Trends Meet Creativity I’m a passionate Social Media Activist, Graphic Designer, and a curious mind who loves to write on trending topics. At BlogBySK.com, I blend my creativity with real-time trends to bring you content that’s fresh, engaging, and thought-provoking.

Post a Comment

Previous Post Next Post